Apne Daman E Shafaat Mein By Owais Raza Qadri With Lyrics


Apne Daman E Shafaat Mein By Owais Raza Qadri With Lyrics and Video.

VIDEO: - Apne Daman E Shafaat Mein By Owais Raza Qadri

Apne Daman E Shafaat Mein Lyrics


Apnay daman e shifaat main chupaye rakhna
Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

Maine maana ke nikamma hoon magar aap ka hoon
Is nikamme ko bi sarkar nibaye rakhna

Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

Jab sare hashre sawaaneze pai suuraj aaye
Aapne kamli kai gunahgare pai saye rakhna

Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

Un kai aane ki gari hai wo hain aane waaley
Meri sarkar ki mehfil ko sajaye rakhna

Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

Zarraye khaak ko khursheed banane waey
Khaak hoon khaak ko kaadmoon sey lagaye rakhna

Meri sarkar meri baat banaye rakhna
Apney daamane shifaat main chupaye rakhna

0 comments:

Post a Comment